mein nakamiyon ko apna batane wala
kabhi kabhi tu khud se ghabrane wala
tum kyun takaluf karte ho hasne ki mujhe
ik mera dard hi hai mujhko hasane wala
Aao main tumhe ek raaz bataun 'Akhtar'
ki gam-e-zeest hi hai sath nibhane wala
bas tabassum ke sahare toh ji nahi sakta
mujhe gam chahiye ik umr bitane wala
mein bas ik sakun bhari nind sona chahata hun
khin mujhe jaga na de harsh barpaane wala
mai-kade ka pata zahidon ko kya maloom
ye bas bataega tabiyat se ladkhadane wala
'akhtar' teri akhon me ik bechaini nazar aati hai
tujhe maar gaya kya tujhe bachane wala
~Akhtar Parwez Dehlvi
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें