main tadpta raha jaan niklati rahi tu udhar rah gyi mein idhar raha gaya
mujh ko dekho main hasti e nakaam hun kaam ka mujh ko aata nahi kuch hunar
Kuch guzaari ye kahte hue gham na kar kuch guzaari ki gham Mukhtasar rah gaya
mujh ko phunka hai usne dikha ke nazar hum pe guzari hai kya haan jaan e jigar
Ye badan to chala aaya raah e guzar ek dil tha jo uske hi ghar rah gaya
mujh ko bhata nahi hai koi charagar isliye hi to dar dar bhatakta hun main
isliye hi mughaffal hain saare hi dar mere kuche mein gar charagar rah gaya
ek gham ka sahara bacha hai mujhe, itna chaha hai akhtar ki gham kam na ho
sare gham ka madava hi ho jayega der tak sajde mein main agar rah gaya
Parwez Akhtar