jab bhi koi mujhe jakham mile to
tum bada muskati ho
tab to tum kehti thi main hun!
phir dur kahan chali jati ho
ye aisa yug aaya hai jahan
koi bina matlab ke sath nahi deta
auron ki kya baat karun
aandhkar mein aapna aksh bhi sath nahi deta
uska sath paa kar tum bada ithlati ho
tab to tum kehti thi main hun! phir dur kahan chali jati ho
meri raat gujarti hai
abb wo purani yadaon se
pal pal akhen bhar jati hai
uski mithi baaton se
mujhe samne dekhkar aapni nazaron ko kyun jhukati ho
tab to tum kehti thi main hun! phir dur kahan chali jati ho
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें