रविवार, 17 नवंबर 2013

Gazal:- Jab se mohabbat hui hume hum chain se sona bhul gaye.

aapni haqiqat tujhe bataun kaise
bahut dur hai maikhana jaun kaise
bhara hua jaam to muh tak to le aaya
aab isse muh se lagaun kaise

jab se mohabbat hui hame hum chain se sona bhul gaye.
jab dekh le unki ek jhalak hum aapne rona bhul gaye.

unka chera kuch is tarah jaise koi tuta chand ho
jab rukh se hataye nakaab wo hum chandani raaton ko bhul gaye.

katilana nazron kaa mitha sabab ek ye bhi hai
unki nazron ne ghayal kiya hum zakhm pirona bhul gye.

tere hizr ke daghon ko ek waqt tak dhota raha
tune dukhaya dil aise ki daghon ko dhona bhul gye.

unki wafai kuch aayesi thi aapna hi wazud rakhna tha
dhoke se mara hamko phir hum sath nibhana bhul gye.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Ghazal

mere anshu gire jo zamin pe sabhi girte girte Sara asar rah gaya  main tadpta raha jaan niklati rahi tu udhar rah gyi mein idhar raha gaya  ...